sāyoñ se bhī Dar jaate haiñ kaise kaise log
jīte-jī hī mar jaate haiñ kaise kaise log
chhoḌ ke māl-o-daulat saarī duniyā meñ apnī
ḳhālī haath guzar jaate haiñ kaise kaise log
bujhe diloñ ko raushan karne sach ko zinda rakhne
jaan se apnī guzar jaate haiñ kaise kaise log
aql-o-ḳhirad ke bal buute par sab ko hairāñ kar ke
kaam anokhe kar jaate haiñ kaise kaise log
ho be-laus mohabbat jin kī ġhanī hoñ jin ke dil
dāman sab ke bhar jaate haiñ aise aise log