kabhī ḳhud ko dard-shanās karo kabhī aao nā
mujhe itnā to na udaas karo kabhī aao nā
mirī umr-sarā.e mahke hai gul-e-hijrāñ se
kabhī aao aa kar baas karo kabhī aao nā
mujhe chāñd meñ shakl dikhā.ī de jo duhā.ī de
koī chāra-e-hosh-o-havās karo kabhī aao nā
isī gosha-e-yād meñ baiThā huuñ ka.ī barsoñ se
kisī raft-guzasht kā paas karo kabhī aao nā
kahīñ āb-o-hāva-e-tishna-labī mujhe maar na de
use barkhā ban kar raas karo kabhī aao nā
sadā aate jaate mausam kī ye gulāb-ruteñ
koī der haiñ ye ehsās karo kabhī aao nā