tāmīz-e-pisar-e-zamīn va ibn-e-falak na karnā
tum aadmī ho to aadmī kī hatak na karnā
ye jam.a-o-tafrīq zarb-o-taqsīm kī sadī hai
aqīda Thahrā adad kī mantiq pe shak na karnā
pas-e-ḳharābāt-e-band jaarī hai mai-gusārī
sikhāyā jām-o-subū ko ham ne khanak na karnā
chhalāve ban jaa.eñ aage jā kar yahī ġhazālāñ
ta.āqub in mah-vashoñ kā tum duur tak na karnā
ye ġham ke ma.anī tujhe lage hai sarāb-e-ma.anī
akele sahnā use ġham-e-mushtarak na karnā