hazīmateñ jo fanā kar ga.iiñ ġhurūr mirā
unhī ke dam se munavvar huā shu.ūr mirā
maiñ hairatī kisī mansūr kī talāsh meñ huuñ
kare jo aa ke ye ā.īna chuur chuur mirā
rivāj-e-zehn se maiñ iḳhtilāf rakhtā thā
sar-e-salīb mujhe le gayā futūr mirā
vo ajnabī hai magar ajnabī nahīñ lagtā
yahī ki us se koī rabt hai zarūr mirā
maiñ Duub kar bhī kisī daur meñ nahīñ Duubā
rahā hai matla-e-imkān meñ zuhūr mirā
use ab ahd-e-alam kī ināyateñ kahiye
ki zulmatoñ meñ ujāgar huā hai nuur mirā
maiñ us lihāz se be-nām nām-āvar huuñ
ki mere ba.ad huā zikr duur duur mirā