Aftab Iqbal Shamim

kahin sota na rah jaun sada de kar jagao na

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
kahīñ sotā na rah jā.ūñ sadā de kar jagāo nā
mujhe in aaTh pahroñ se kabhī bāhar bulāo nā
khulī āñkhoñ se kab tak justujū kā ḳhvāb dekhūñgā
hijāb-e-haft-parda apne chehre se uThāo nā
sitāre par sitāra ok meñ bahtā chalā aa.e
kisī shab kahkashāñ uñDel kar mujh ko pilāo nā
jo chāho to zamāne kā zamāna vāzhgūñ kar do
magar pahle hudūd-e-jāñ meñ hañgāma uThāo nā
subuk-dosh-e-ziyāñ kar diiñ ziyāñ-andeshiyāñ dil kī
zarā asbāb-e-duniyā rāh-e-duniyā meñ luTāo nā
liye jaate haiñ lamhe reza reza kar ke āñkhoñ ko
nihāyat der se maiñ muntazir baiThā huuñ aao nā
Top Urdushayar.com