Aftab Iqbal Shamim

jab wo iqrar-e-ashnai kare

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
jab vo iqrār-e-āshnā.ī kare
gul kaf-e-shāḳh ko hinā.ī kare
jis ko kam kam niyāz-e-jāñ ho nasīb
koī iqdām-e-intihā.ī kare
phir se tālīf-e-dil ho phir koī
is sahīfe kī rū-numā.ī kare
sheva-e-ahl-e-dil yahī hai ki tū
bai.at-e-dast-e-nā-rasā.ī kare
dil meñ shauq-e-nabard hai itnā
har hazīmat mujhe rajā.ī kare
qurb meñ jab anā kī duurī ho
koī kyuuñ ḳhvāhish-e-judā.ī kare
Top Urdushayar.com