haañ usī din dhuup meñ haryāliyāñ shāmil huiiñ
is zamīñ kī zardiyoñ meñ lāliyāñ shāmil huiiñ
bād-e-āzādī meñ ham sab nāchne vāloñ ke saath
phuul pahne raqs kartī Dāliyāñ shāmil huiiñ
bū-e-gul se jāniye kyuuñ bū-e-ḳhūñ aane lagī
baaġh meñ jab se tirī rakhvāliyāñ shāmil huiiñ
qahr to us vaqt TuuTā thā saf-e-a.adā meñ jab
chashm-o-lab se qatl karne vāliyāñ shāmil huiiñ
ḳhair ko shar aur shar ko ḳhair karne meñ yahāñ
jāniye kin kin kī bad-a.amāliyāñ shāmil huiiñ
itnā pyārā ho gayā huuñ dostoñ ko kyā kahūñ
jab bhī merā zikr aayā gāliyāñ shāmil huiiñ