asīr-e-hāfiza ho aaj ke jahān meñ aao
mukālme ke liye asr kī zabān meñ aao
pa.e sabāt-e-taġhayyur pukārte hue guzre
chhateñ shikasta haiñ niklo na.e makān meñ aao
zamīñ kā vaqt se jhagḌā hai ḳhud nipaTte raheñge
kahā hai kis ne ki tum un ke darmiyān meñ aao
ye aaTh pahr kī duniyā tumheñ batā.ūñ ki kyā hai
nikal ke jism se kuchh der apnī jaan meñ aao
tumheñ tumhārī alif diid meñ maiñ dekhnā chāhūñ
nazar bachā ke zamāne se mere dhyān meñ aao