Aftab Iqbal Shamim

main apne waste rasta naya nikalta hun

Aftab Iqbal Shamim

Jhelum, Punjab, Pakistan

1933
maiñ apne vāste rasta nayā nikāltā huuñ
dalīl-e-sher meñ thoḌā sā kashf Dāltā huuñ
bahut satāyā huā huuñ la.iim duniyā kā
saḳhī huuñ dil kī purānī ḳhalish nikāltā huuñ
zamāna kyā hai kabhī man kī mauj meñ aa.uuñ
to nok-e-naqsh pe apnī use uchhāltā huuñ
ye merā kunj-e-makāñ merā qasr-e-ālī hai
maiñ apnā sikka-e-rā.ej yahīñ pe Dhāltā huuñ
mirī ġhazal meñ zan-o-mard jaise bāham hoñ
ise jalāltā huuñ phir ise jamāltā huuñ
zarā paḌheñ to mirī iḳhtiyār meñ na raheñ
ye naunihāl jinheñ mushkiloñ se pāltā huuñ
Top Urdushayar.com