panjoñ ke bal khaḌe hue shab kī chaTān par
nāḳhun se ik ḳharāsh lagā āsmān par
barsoñ darūn-e-sīna sulagnā hai phir hameñ
lagtā hai qufl-e-habs havā ke makān par
ik dhaaḌ hai ki chāroñ taraf se sunā.ī de
girdāb-e-chashm ban ga.iiñ āñkheñ machān par
maujūd bhī kahīñ na kahīñ iltavā meñ hai
jo hai nishān par vo nahīñ hai nishān par
us meñ kamāl us kī ḳhabar-sāziyoñ kā hai
khātā huuñ maiñ fareb jo sach ke gumān par
sarkash ko nisf umr kā ho lene dījiye
bik jā.egā kisī na kisī kī dukān par