Akbar Hyderabadi

nigah-e-shauq se husn-e-gul-o-gulzar to dekh

Akbar Hyderabadi

1925
nigah-e-shauq se husn-e-gul-o-gulzār to dekh
āñkheñ khul jā.eñgī ye manzar-e-dīdār to dekh
paikar-e-shāhid-e-hastī meñ hai ik aañch na.ī
lazzat-e-dīd uThā shola-e-ruḳhsār to dekh
shoḳhī-e-naqsh koī hādsa-e-vaqt nahīñ
mo.ajaza-e-kārī-e-ḳhūn-e-dil-e-fankār to dekh
har dukāñ apnī jagah hairat-e-nazzāra hai
fikr-e-insāñ ke sajā.e hue bāzār to dekh
ban ga.e gard-e-safar qāfile āvāzoñ ke
ādam-e-nau kī zarā garmi-e-raftār to dekh
munqalib ho gayā paimāna-e-har-bast-o-buland
dekh kar apnī taraf jānib-e-kohsār to dekh
na.e āhañg se ab naġhma-sarā hai 'akbar'
fikr ke saath zarā shoḳhi-e-guftār to dekh
Top Urdushayar.com