kul ālam-e-vajūd ki ik dasht-e-nūr thā
saarā hijāb tīra-dilī kā qusūr thā
samjhe the johd-e-ishq meñ ham surḳh-rū hue
dekhā magar to shīsha-e-dil chuur chuur thā
pahuñche na yuuñ hī manzil-e-iz.hār-e-zāt tak
taht-e-shu.ūr ik safar-e-lā-shu.ūr thā
thā jo qarīb us ko basīrat na thī nasīb
jo dekhtā thā mujh ko bahut mujh se duur thā
mub.ham the sab nuqūsh naqāboñ kī dhund meñ
chehra ik aur bhī pas-e-chehra zarūr thā