Muneer Fatmi

Dubta dard ka suraj tere izhaar mein tha

Muneer Fatmi

Dūbtā dard kā sūraj tire iz.hār meñ thā
DhūñDne vaalā tujhe zaat ke ambār meñ thā
aaj tanhā huuñ maiñ iḳhlās ke us jañgal meñ
aise aahū kī tarah ho ki kabhī Daar meñ thā
tesha-e-yād meñ ab khod rahā huuñ us ko
jo kabhī dafan mire zehn kī dīvār meñ thā
dopahar umr kī saa.e meñ mirī jis ke Dhalī
vo ghanā peḌ bhī is shahr ke ashjār meñ thā
yuuñ to sab log the is shor sharābe meñ magan
koī apnā na magar is bhare bāzār meñ thā
aaj tum sāhab-e-izzat ho to inkār nahīñ
naam merā bhī kabhī surḳhi-e-aḳhbār meñ thā
sochtā huuñ to laraz uThtā hai ehsās-e-anā
dā.era ban ke bhī maiñ vaqt kī purkār meñ thā
Top Urdushayar.com