aaj tak dīda-e-mushtāq se pinhāñ hī rahe
ye alag baat vo nazdīk rag-e-jāñ hī rahe
aur hoñge jinheñ miltā hai sukūn-e-ḳhātir
ham tirī bazm meñ aa kar bhī pareshāñ hī rahe
ik faqat bazm-e-nigārāñ hī pe mauqūf nahīñ
ham sar-e-dār bhī ai dost ġhazal-ḳhvāñ hī rahe
ye bhī mumkin hai koī aa.e sar-e-rāh-e-vafā
ye bhī mumkin hai mire ba.ad ye vīrāñ hī rahe