Maqsood Wafa

is gham ko iKHtiyar nahin kar raha hun main

Maqsood Wafa

1962
is ġham ko iḳhtiyār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ye to nahīñ ki pyaar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
apnī udāsiyoñ ke nashe meñ huuñ āj-kal
shaġhl-e-ḳhum-o-ḳhumār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
kuchh der se hai rañg-e-tamāshā rukā huā
ik tiir dil se paar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
ab dekhtā huuñ raah meñ duniyā sajī hoī
ab terā intizār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
maiñ aap apnā dard jagātā huuñ raat bhar
kuchh tum pe inhisār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
le rakh tū apnā harf-e-tasallī bhī paas rakh
ye koī kārobār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
maiñ ziist kar rahā huuñ ye tum ko ḳhabar nahīñ
tum par to jāñ-nisār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
hai dasht ye bhī hadd-e-tasavvur meñ is liye
is dasht ko bhī paar nahīñ kar rahā huuñ maiñ
kyā raaz hai ki jis ko batāne se peshtar
apnā bhī e'tibār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
yuuñ to rahe ho tum bhī saf-e-dushmanāñ meñ dost
lekin tumheñ shumār nahīñ kar rahā huuñ maiñ
Top Urdushayar.com