jo sair-e-anjum-o-ḳhurshīd kā irāda kiyā
ġhubār raḳht-e-safar aur junūn jaada kiyā
bahut se kaam kiye haiñ tirī talab meñ magar
ye kār-e-dard zarūrat se kuchh ziyāda kiyā
fazā-e-hosh-o-ḳhirad meñ baḌā añdherā thā
so ham ne aañkh meñ raushan charāġh-e-bāda kiyā
baḌhā jo ġham kisī lamhe tirī judā.ī kā
to ham ne jaañ ke ziyāñ se bhī istifāda kiyā
vo rañg-e-husn bhī saada thā sāmne apne
so harf-e-arz-e-tamannā bhī ham ne saada kiyā