Maqsood Wafa

jagta rahta hun aur khiDki khuli rahti hai

Maqsood Wafa

1962
jāgtā rahtā huuñ aur khiḌkī khulī rahtī hai
kyā ḳhushī hai ki musībat hī paḌī rahtī hai
itnī dīvāreñ girā kar bhī yahī dekhā hai
ek dīvār mirī rah meñ khaḌī rahtī hai
baaġh meñ bikhre hue rañg bahut zālim haiñ
ba.az goshoñ meñ to vīrānī paḌī rahtī hai
hijr meñ vasl ke phal-phūl khile rahte haiñ
shāḳh bichhḌe hue mausam se bharī rahtī hai
ek vīrāna hai jo shahr ko khā jaatā hai
ek bastī hai jo jañgal meñ basī rahtī hai
ab vo ḳhush-chehra sī ḳhātūn kahāñ par hogī
fikr sī koī mire jī ko lagī rahtī hai
had se baḌhtī huī vahshat bhī ajab shai hai 'vafā'
mere chehre pe kisī ġham kī hañsī rahtī hai
mausam-e-girya guzar jaatā hai maqsūd-'vafā'
merī dīvār pe bārish kī namī rahtī hai
Top Urdushayar.com