Maqsood Wafa

thak ke baiThun to mujhe rasta nazar aaega

Maqsood Wafa

1962
thak ke baiThūñ to mujhe rasta nazar aa.egā
shaam is dasht meñ guzregī to ghar aa.egā
soch kar merī mohabbat meñ qadam rakhnā tum
is se aage to bahut lambā safar aa.egā
muntazir āñkheñ kisī taaq meñ bujh jā.eñgī
koī hogā hī nahīñ koī agar aa.egā
siikh jā.ūñgā tire ba.ad bhī jiinā lekin
mujh ko ai dost tire hijr se Dar aa.egā
mujh tak aate hue duniyā use rokegī bahut
ruk bhī jā.egā kisī raah meñ par aa.egā
umr ke din to isī aas meñ kaT jaate haiñ
raat Dhal jā.egī aur vaqt-e-sahar aa.egā
vaqt kī qaid se āzād mah-o-sāl se duur
ik zamāna hai ki jo bār-e-digar aa.egā
Top Urdushayar.com