ab koī raah bhī āsān nahīñ dekhne meñ
dekhte rahte haiñ aur dhyān nahīñ dekhne meñ
kitnī vīrān nazar aatī hai tā-hadd-e-nazar
yahī duniyā ki jo vīrān nahīñ dekhne meñ
ḳhālī tanhā.ī ḳhazānoñ se bharī rahtī hai
aur yahāñ koī bhī sāmān nahīñ dekhne meñ
in dinoñ fursat-e-tābīr kahāñ mumkin hai
in dinoñ ḳhvāb bhī āsān nahīñ dekhne meñ
vaise to hijr meñ us ko bhī nahīñ koī malāl
vaise to maiñ bhī pareshān nahīñ dekhne meñ
saare kamroñ meñ koī ret uḌātī hai mujhe
ye mirā ghar ki bayābān nahīñ dekhne meñ
ik nazar sū-e-malāmat bhī agar dekhā kareñ
maiñ samajhtā huuñ ki nuqsān nahīñ dekhne meñ
us jagah bhī koī imkān nikal aatā hai
jis jagah koī bhī imkān nahīñ dekhne meñ
itnā hairān rahā huuñ to banā huuñ aisā
maiñ vo ik shaḳhs ki hairān nahīñ dekhne meñ