Maqsood Wafa

fasil-e-jaan ke qaidi hain magar ye dhyan rakkha hai

Maqsood Wafa

1962
fasīl-e-jāñ ke qaidī haiñ magar ye dhyān rakkhā hai
havā ke vāste ham ne dar-e-imkān rakkhā hai
sajā sakte the yādoñ ke ka.ī chehre ka.ī paikar
magar kuchh soch kar ham ne ye ghar vīrān rakkhā hai
hameñ shauq-e-azīyyat hai vagarna is zamāne meñ
tirī yādeñ bhulāne ko bahut sāmān rakkhā hai
tirī jholī meñ lā Dāleñge qarze is mohabbat ke
ki ham shorīda-sar haiñ kab koī ehsān rakkhā hai
shab-e-hijrāñ meñ dar aatī haiñ kaise ye mulāqāteñ
tamāshā-hā-e-ḳhalvat ne hameñ hairān rakkhā hai
tumheñ ye mānñā hogā ki ham ne apne lab sī kar
sukūt-e-shab kī muTThī meñ koī tūfān rakkhā hai
jo ho yaaro ba-har-sūrat charāġhoñ ko jalānā hai
havā.eñ kitnī barham haiñ ye ham ne jaan rakkhā hai
Top Urdushayar.com