Maqsood Wafa

kunj-e-tanhai mein rakkha hua rah jata hai

Maqsood Wafa

1962
kunj-e-tanhā.ī meñ rakkhā huā rah jaatā hai
dil ki siine meñ uchhaltā huā rah jaatā hai
jumbish-e-chashm se duniyā hī badal jaatī hai
aur mirī aañkh meñ sochā huā rah jaatā hai
ab to aisā hai ki āñkhoñ ko agar khol bhī luuñ
dil kisī ḳhvāb meñ lipTā huā rah jaatā hai
likh to lete haiñ tirā naam ba-sad shauq magar
kyā kabhī ret pe likkhā huā rah jaatā hai
kuchh chalā jaatā hai dariyāoñ ke hamrāh ye dil
kuchh rag-e-jāñ meñ hī bahtā huā rah jaatā hai
us kī yādoñ ko dil-o-jān se ruḳhsat karnā
kaam aisā hai ki hotā huā rah jaatā hai
maiñ to lauT aatā huuñ har shaam ko ghar meñ lekin
dil kisī raah pe chaltā huā rah jaatā hai
Top Urdushayar.com