Maqsood Wafa

tujhse ab dard ka rishta bhi nahin chahiye hai

Maqsood Wafa

1962
tujh se ab dard kā rishta bhī nahīñ chāhiye hai
jā mujhe terī tamannā bhī nahīñ chāhiye hai
dekh kuchh bhī na sakūñ maiñ kisī saa.e ke sivā
raushnī itnī ziyāda bhī nahīñ chāhiye hai
ik nazar tishna-e-nazzāra hī rakh lenī hai
ik tamāshe meñ tamāshā bhī nahīñ chāhiye hai
ḳhair-o-shar donoñ mujhe.... zaḳhm diye jaate haiñ
ye burā kyā mujhe achchhā bhī nahīñ chāhiye hai
ab zarā chāhiye tanhā.ī meñ yaksūī mujhe
ab koī chāhne vaalā bhī nahīñ chāhiye hai
maiñ ne halkān kiyā jis kī talab meñ ḳhud ko
sach to ye hai ki vo duniyā bhī nahīñ chāhiye hai
rok mat mujh ko farastāda-e-tuġhyānī huuñ
us safar meñ huuñ ki rasta bhī nahīñ chāhiye hai
jiinā mushkil to bahut hai tirī is duniyā meñ
lekin is ḳhvāb ko marnā bhī nahīñ chāhiye hai
Top Urdushayar.com