duur tak bas ik dhundalkā gard-e-tanhā.ī kā thā
rāstoñ ko ranj merī ābla-pā.ī kā thā
fasl-e-gul ruḳhsat huī to vahshateñ bhī miT ga.iiñ
haT gayā saaya jo ik āseb-e-sahrā.ī kā thā
toḌ hī Daalā samundar ne tilism-e-ḳhud-sarī
zom kyā kyā sāhiloñ ko apnī pahnā.ī kā thā
aur mub.ham ho gayā paiham mulāqātoñ ke saath
vo jo ik mauhūm sā rishta shanāsā.ī kā thā
ḳhaak ban kar pattiyāñ mauj-e-havā se jā milīñ
der se 'akbar' guloñ par qarz purvā.ī kā thā