Maqsood Wafa

ek ye dil jo tujhe de ke ganwa dene laga

Maqsood Wafa

1962
ek ye dil jo tujhe de ke gañvā dene lagā
aur ik chiiz koī is ke sivā dene lagā
aisī ḳhushbū hai ki ab zabt nahīñ hai mumkin
maiñ havāoñ ko koī raaz batā dene lagā
ab mire sāmne rasta hī kuchh aisā hai ki maiñ
apnī manzil ko bhī raste se haTā dene lagā
vo jise dekh ke jalne meñ mazā lenā thā
vaqt vo dāġh-e-tamannā bhī miTā dene lagā
jis kī gardish meñ mah-o-mehr hoñ dohrā.e hue
aise manzar ko maiñ mehvar se haTā dene lagā
kyā zamāna thā tire vasl kī betābī kā
kyā zamāna hai tirā hijr mazā dene lagā
ek hasrat meñ huā itnā mujhe rañj ki maiñ
haath aa.ī huī duniyā ko gañvā dene lagā
itnā mahrūm-e-tamannā huuñ ki ab āḳhir-kār
maiñ ne jo chāhā vahī mujh ko ḳhudā dene lagā
āb-e-sāda jo barastā hai darīche se pare
ātish-e-mai ko zarā aur baḌhā dene lagā
mujh ko sunñā thā kisī aur zamāne ne 'vafā'
maiñ kisī aur zamāne meñ sadā dene lagā
Top Urdushayar.com