Maqsood Wafa

tumhaare hijr ka anjam KHubsurat hai

Maqsood Wafa

1962
tumhāre hijr kā anjām ḳhūbsūrat hai
bahut udaas magar shaam ḳhūbsūrat hai
phir is ke ba.ad ye rasta kidhar ko jaatā hai
ye zindagī to koī gaam ḳhūbsūrat hai
tū jis tarah se hasīñ hai zamāne bhar se alag
usī tarah se tirā naam ḳhūbsūrat hai
nahīñ zarūrī ki har baat kī vazāhat ho
kahīñ kahīñ pe ye ib.hām ḳhūbsūrat hai
maiñ is liye nahīñ detā safā.ī apnī 'vafā'
mire harīf kā ilzām ḳhūbsūrat hai
Top Urdushayar.com