aarzū hai bahut kināre kī
der hai bas tere ishāre kī
vo yahāñ aa.e aur chale bhī ga.e
kyā zarūrat thī nām-chāre kī
ai havāo udhar na le jaao
maiñ lahar huuñ usī kināre kī
chāñd kā naam dījiye na mujhe
sirf parchhā.īñ huuñ sitāre kī
zindagī kyā hai kuchh nahīñ hai bas
ek tasvīr hai sharāre kī
merī hālat bhī aaj aisī hai
jaisī gardish meñ ik sitāre kī