āñkhoñ meñ ibārat hai aur dil meñ kahānī hai
aa jaa.e agar vo to us ko hī sunānī hai
ye jitne manāzir haiñ bīnā.ī se bāhar haiñ
āñkhoñ meñ abhī koī tasvīr purānī hai
us chāñd kā paanī meñ bas aks utarnā hai
ik chāñd hai āñkhoñ meñ aur jhiil meñ paanī hai
ehsān uThānā hai yādoñ ke ujāloñ kā
sūraj hai samundar meñ aur raat bitānī hai
kuchh kaam nahīñ tum ko kuchh kaam nahīñ ham ko
baiThe raho bas yūñhī tasvīr banānī hai