Khushboo Saxena

aankhon ki takrar agar ho jae to

Khushboo Saxena

Ghaziabad, Uttar pradesh, India

1988
āñkhoñ kī takrār agar ho jaa.e to
dil par dil kā vaar agar ho jaa.e to
maiñ to us kī prem pujāran huuñ lekin
us ko mujh se pyaar agar ho jaa.e to
duniyā-dārī saarī dil kī badaulat hai
socho dil bīmār agar ho jaa.e to
darvāze ban jaate haiñ dīvāroñ meñ
darvāza dīvār agar ho jaa.e to
maanā apne hoñToñ ko sī loge tum
chehra hī aḳhbār agar ho jaa.e to
ghar se bāhar jā kar jashn manāoge
ghar meñ hī tyauhār agar ho jaa.e to
Top Urdushayar.com