tū mire ġham se āshnā kab thā
ġham-zada huuñ tujhe pata kab thā
chitr terā koī banā kab thā
ik diyā thā magar jalā kab thā
aa to jaatī tire qarīb magar
koī aane kā rāsta kab thā
aks kaise sambhāl kar rakhtī
TuuT kar aa.ina bachā kab thā
merī ḳhāmoshiyoñ ko bolne kā
tū ne mauqa koī diyā kab thā
dard ko kuchh davā bhī chāhiye thī
dard kā koī silsila kab thā