jab tumhārī taraf se ishāre hue
ham tumhāre hue tum hamāre hue
bevafā.ī kā ilzām mujh ko na do
be-jhijhak kah bhī do tum kināre hue
phir mohabbat ko aisī nazar lag ga.ī
ashk mīThe the jo khāre khāre hue
phīke phīke hue jab qarīb aa.e to
chāñd taare zamīñ par utāre hue
dekhnā kyā huā us kā muḌ kar mujhe
merī palkoñ pe aañsū sitāre hue
mil ga.ī jab tirī chhāñv meñ kuchh jagah
yuuñ lagā ab mire vāre-nyāre hue