yuuñ bhī guzrī haiñ mirī shām-o-sahar paanī meñ
ashk ban ban ke bahā ḳhūn-e-jigar paanī meñ
kyā Darā.eñge ye āfāt-e-zamāna ham ko
ham banā lete haiñ jab rāh-e-safar paanī meñ
saḳht se saḳht bhī patthar na rahā phir patthar
akasr aayā hai nazar aisā asar paanī meñ
tum isī taur mire dil meñ rahā karte ho
jis tarah rahtā hai poshīda guhar paanī meñ
jazba-e-shauq-o-tasavvur kī badaulat akasr
dekhtā rahtā huuñ maiñ aks-e-qamar paanī meñ
ḳhvāhish-e-aish-o-tarab kyuuñ ho zamāne kī use
zindagī hotī rahī jis kī basar paanī meñ
raushnī detī vo kaise rah-e-ulfat pe 'ra.īs'
sham-e-ummīd jalā.ī thī magar paanī meñ