jin ke nasīb meñ āb-o-dāna kam kam hotā hai
maa.il un kī samt zamāna kam kam hotā hai
raste hī meñ ho jaatī haiñ bāteñ bas do-chār
ab to un ke ghar bhī jaanā kam kam hotā hai
mushkil hī se kar letī hai duniyā use qubūl
aisī haqīqat jis meñ fasāna kam kam hotā hai
kabhī jo bāteñ ishq ke sāl-o-sin kā hāsil thiiñ
ab un bātoñ kā yaad aanā kam kam hotā hai
riñd sabhī sāġhar par sāġhar chhalkāte jaate haiñ
kyuuñ labrez mirā paimāna kam kam hotā hai
baat pate kī kar jaatā hai yuuñ to kabhī kabhī
hosh meñ lekin ye dīvāna kam kam hotā hai
kitnī muqaddas hogī 'akbar' us bachche kī pyaas
jis kī ik Thokar se ravāna zamzam hotā hai