ishq janmoñ kā hai safar shāyad
ḳhatm hogā na umr bhar shāyad
aaj kachchā ghaḌā hai naav mirī
paar lag jā.ūñ Duub kar shāyad
harf-e-matlab sunā ke ro denā
kaam kar jaa.e chashm-e-tar shāyad
ḳhud ko ham bārhā pukār aa.e
aaj ham bhī nahīñ the ghar shāyad
aur karnī hai justujū apnī
aur phirnā hai dar-ba-dar shāyad
kaun pāgal ko kū-ba-kū DhūñDe
phir rahā ho nagar nagar shāyad
shab ga.e uTh ke yaad kar us ko
yuuñ duāoñ meñ ho asar shāyad
aa ke manzil pe so gayā raahī
ḳhatm hai bas yahīñ safar shāyad
ban sañvar kar rahā karo 'hasrat'
us kī paḌ jaa.e ik nazar shāyad