is chaman kā ajiib maalī hai
jis ne har shāḳh kaaT Daalī hai
din ujālā gañvā ke baiTh gayā
raat ne raushnī churā lī hai
ġham kī ismat bachchī huī thī magar
vaqt ne vo bhī rauñd Daalī hai
mo.ajiza ho jo bach nikal jaa.e
pāñch shahbāz ek laalī hai
ye tirā adl kyā huā yārab
koī adnā hai koī aalī hai
aañkh meñ chubh ga.e ka.ī manzar
ab kahāñ niiñd aane vaalī hai
pahle vaqtoñ meñ ho to ho shāyad
dostī ab hasīn gaalī hai
ḳhema-e-zabt kī tanābeñ khīñch
kuchh ghaTā sī barasne vaalī hai
chalte rahnā kaThin huā 'hasrat'
paañv zaḳhmī haiñ raat kaalī hai