ham ko yaad na aao ab
bhar jaane do ghaav ab
aag bujhāo tan-man kī
aisā meñh barsāo ab
jaanā hai us paar hameñ
māñjhī aur na naav ab
apne roza-dāroñ ko
iid kā chāñd dikhāo ab
rūThā yaar manānā hai
koī svāñg rachāo ab
ro ro ke mar jā.eñge
ham se duur na jaao ab
tujh par kyā uftād paḌī
'hasrat' niir bahāo ab