Akbar Hyderabadi

dahakte kuchh KHayal hain ajib ajib se

Akbar Hyderabadi

1925
dahakte kuchh ḳhayāl haiñ ajiib ajiib se
ki zehn meñ savāl haiñ ajiib ajiib se
thā āftāb sub.h kuchh to shaam ko kuchh aur
uruuj aur zavāl haiñ ajiib ajiib se
har ek shāhrāh par dukānoñ meñ saje
tarah tarah ke maal haiñ ajiib ajiib se
vo paas ho ke duur hai to duur ho ke paas
firāq aur visāl haiñ ajiib ajiib se
nikalnā in se bach ke sahal is qadar nahīñ
qadam qadam pe jaal haiñ ajiib ajiib se
adab faqat adab hai? yā hai tarjumān-e-zīst?
mire yahī savāl haiñ adiib adiib se
Top Urdushayar.com