ghoñsle raakh ho ga.e jal ke
miT ga.e sab nishān jañgal ke
aag barsā ke uḌ gayā bādal
par nikal aa.e muue bādal ke
chīthḌe oḌh kar jo sotā huuñ
ḳhvāb aate haiñ mujh ko maḳhmal ke
saañp un se lipaT ga.e aksar
ham ne bo.e the peḌ sandal ke
jis meñ insāniyat nahīñ rahtī
ham darinde haiñ aise jañgal ke
jo havā par savār ho sāhab
kab vo chaltā hai saath paidal ke
aao bachchoñ kā ehtirām kareñ
ye to vāris haiñ sāhibo kal ke
apnā haq baḌh ke chhīn lo yaaro
yuuñ dikhāo na haath mal mal ke
kuchh batātā nahīñ tirā 'hasrat'
jaane ab dil meñ kyā hai pāgal ke