guzre jidhar se nuur bikhere chale ga.e
vo ham-safar hue to añdhere chale ga.e
ab maiñ huuñ aur shiddat-e-ġham kī hai tez dhuup
un gesuoñ ke saa.e ghanere chale ga.e
mere tafakkurāt ko Dastī rahī thī jo
nāgin chalī ga.ī vo sapere chale ga.e
ummīd ke shajar pe vo halchal nahīñ rahī
chiḌiyāñ ga.iiñ to rain basere chale ga.e
andhe safar ko ghar se maiñ niklā thā dosto
aa.ī jab un kī yaad añdhere chale ga.e
ātish ne mere ghar ko jalāyā to kyā huā
kuchh der ke liye to añdhere chale ga.e
'hasrat' maiñ be-qarār huuñ luTne ke vāste
jaane kahāñ hasīn luTere chale ga.e