āḳhirī ummīd bhī āñkhoñ se chhalkā.e hue
kaun sī jānib chale haiñ tere Thukrā.e hue
apnī galiyāñ apnī bastī bhuul baiThā hai vo chāñd
ek yug guzrā hai us ko nuur barsā.e hue
justujū vaale tumhārī raah meñ mar miT ga.e
ek muddat se tumheñ pardes haiñ bhaa.e hue
ai bahār-e-zindagī ab der hai kis baat kī
baasī phūloñ kī tarah haiñ baḳht murjhā.e hue
duur jā niklā kahīñ sūraj hamāre shahr kā
raat bhāgī aa rahī hai shaam ke saa.e hue
but banā baiThā rahā 'hasrat' huzūr-e-husn meñ
kah ga.e apnī zabāñ meñ ashk tharrā.e hue