ḳhaak meñ milnā thā āḳhir be-nishāñ honā hī thā
jalne vaale ke muqaddar meñ dhuāñ honā hī thā
ham na kahte the ki diide phuuT jā.eñge tire
raat din rone se āñkhoñ kā ziyāñ honā hī thā
harf-e-sākit ban gayā taqtī.a se ḳhārij huā
is ġhazal kī bazm se mujh ko nihāñ honā hī thā
kyā huā jo bhuul baiThe haiñ sabhī qaarī mujhe
ik na ik din mujh ko bhūlī dāstāñ honā hī thā
dhaar par chalnā thā mujh ko kūdnā thā aag meñ
zindagī meñ ek din ye imtihāñ honā hī thā
ruī ban kar uḌ ga.e parbat zamīñ hai zer-e-āb
ye karishma bhī to zer-e-āsmāñ honā hī thā
sabr kar 'hasrat' na ro ujḌe chaman ko dekh kar
dīdanī manzar ko āñkhoñ se nihāñ honā hī thā