agar faqīr se milnā hai to sambhal pahle
amiir ban ke na jā pairahan badal pahle
paḌegī tujh pe sunahrī kiran mohabbat kī
harīm-e-zāt ke jañgal se ḳhud nikal pahle
salām kahne ko aa.egī ḳhud-baḳhud manzil
mohabbatoñ ke kaThin rāstoñ pe chal pahle
jaTā.eñ kāñch ke bande to ḳhuub haiñ lekin
tū ḳhvāhishoñ pe bhī jogī bhabhūt mal pahle
shumār terā bhī hogā kamāl vāloñ meñ
kisī kamāl ke sāñche meñ tū bhī Dhal pahle
tire payām hī se surḳh ho gayā hai badan
ki meñh paḌā nahīñ hai khil uThe kañval pahle
suḳhan-varoñ kī riyāzat pe phir gayā paanī
sunā.ī shoḳh nigāhoñ ne vo ġhazal pahle
hile na hoñT na āñkhoñ ne lab-kushā.ī kī
jabīn-e-husn pe kyuuñ paḌ ga.e haiñ bal pahle
tujhe salām kare uTh ke kis tarah 'hasrat'
tū aayā der se aur aa ga.ī ajal pahle