Ajeet Singh Hasrat

zamane ho gae tere karam ki aas lagi

Ajeet Singh Hasrat

Sialkot, Punjab, Pakistan

zamāne ho ga.e tere karam kī aas lagī
qarīb-e-mai-kada sahrā sī mujh ko pyaas lagī
lahū rulāte haiñ mujh ko suhāvne manzar
chaTaktī chāñdnī tere binā udaas lagī
na us meñ mai hai na paanī to pyaas kaise bujhe
ye zindagī mujhe TuuTā huā gilās lagī
ye garm garm se aañsū batā rahe haiñ yahī
zarūr aag kahīñ dil ke ās-pās lagī
yahāñ to koī bhī mālik nahīñ mire sāhab
tamām ḳhalq mujhe ḳhvāhishoñ kī daas lagī
jahez naam hī se rañg uḌ gayā us kā
ġharīb baap kī beTī jahāñ-shanās lagī
kaḌaktī dhuup meñ chal to paḌī dulhan 'hasrat'
qadam qadam pe use rāste meñ pyaas lagī
Top Urdushayar.com