haañ yahī shahr mire ḳhvāboñ kā gahvāra thā
inhī galiyoñ meñ kahīñ merā sanam-ḳhāna thā
isī dhartī pe the ābād saman-zār mire
isī bastī meñ mirī ruuh kā sarmāya thā
thī yahī āb-o-havā nashv-o-numā kī zāmin
isī miTTī se mire fan kā ḳhamīr uTThā thā
ab na dīvāroñ se nisbat hai na bām-o-dar se
kyā isī ghar se kabhī merā koī rishta thā
zaḳhm yādoñ ke sulagte haiñ mirī āñkhoñ meñ
ḳhvāb in āñkhoñ ne kyā jāniye kyā dekhā thā
mehrbāñ raat ke saa.e the munavvar aise
ashk āñkhoñ meñ liye dil ye sarāsīma thā
ajnabī lagte the sab kūcha o bāzār 'akbar'
ġhaur se dekhā to vo shahr mirā apnā thā