bas ik tasalsul-e-takrār-e-qurb-o-dūrī thā
visāl o hijr kā har marhala ubūrī thā
mirī shikast bhī thī merī zaat se mansūb
ki merī fikr kā har faisla shu.ūrī thā
thī jiitī jāgtī duniyā mirī mohabbat kī
na ḳhvāb kā sā vo aalam ki lā-shu.ūrī thā
ta.alluqāt meñ aisā bhī ek moḌ aayā
ki qurbatoñ pe bhī dil ko gumān-e-dūrī thā
rivāyatoñ se kināra-kashī bhī lāzim thī
aur ehtirām-e-rivāyāt bhī zarūrī thā
mashīnī daur ke āzār se huā sābit
ki aadmī kā malāl aadmī se duurī thā
khulā hai kab koī jauhar hijāb meñ 'akbar'
guhar ke baab meñ tark-e-sadaf zarūrī thā