vafā ke daaġh ko dil se miTā nahīñ saktā
ye vo charāġh hai tūfāñ bujhā nahīñ saktā
mujhe kuchh aisī pilā.ī hai chashm-e-sāqī ne
surūr jis kā kabhī dil se jā nahīñ saktā
kisī kī chīn-e-jabīñ ko samajh dil-e-muztar
ḳhafā vo haiñ ki to ulfat chhupā nahīñ saktā
qafas qafas hai guloñ se sajā kare sayyād
chaman kā lutf asīrī meñ aa nahīñ saktā
kabhī is ujḌe chaman meñ bahār aa.egī
ye 'qādrī' ke gumāñ meñ bhī aa nahīñ saktā