soz-e-darūñ hamārā zāhir na ho kisī par
ik daaġh lag na jaa.e dāmān-e-āshiqī par
lāzim hazar hai ai dil āh-o-fuġhāñ se daa.im
aatā hai harf us se da.avā-e-dostī par
rāh-e-vafā meñ koī detā hai saath kis kā
ġham kyuuñ manā.eñ nāhaq ham apnī bekasī par
nāzāñ jamāl-e-parda ġharra adā pe un ko
mujh ko bhī faḳhr lekin hai jazb-e-āshiqī par
mamnūn 'qādrī' huuñ us nukta-chīñ kā dil se
tanqīd jis kī saiqal hai merī shā.irī par