Shaghil Qadri

mausam-e-gul aa gaya phir dasht-paimai rahe

Shaghil Qadri

mausam-e-gul aa gayā phir dasht-paimā.ī rahe
ai junūñ lāzim hai shaġhl-e-ābla-pā.ī rahe
laakh mizrāb-e-alam kī kār-farmā.ī rahe
ai rabāb-e-isq phir bhī naġhma-pairā.ī rahe
dekhnā hai soz-o-sāz-e-mausam-e-gul kī bahār
imtizāj-e-sho.ala-o-shabnam kī ra.anā.ī rahe
aa sakā lab tak kisī ke bhī na harf-e-mudda.ā
ham tamannā.ī rahe vo bhī tamannā.ī rahe
ham bhī dikhlā.eñ jahāñ ko dil ke dāġhoñ kī bahār
aap kī hāsil agar ham ko masīhā.ī rahe
justujū-e-yār meñ paayā na koī dam qarār
nik.hat-e-gul kī tarah aalam meñ harjā.ī rahe
raunaq-e-dair-o-haram kā 'qādrī' kyā pūchhnā
raushnī ik sham.a kī do ghar meñ jab chhā.ī rahe
Top Urdushayar.com