kab mujhe tāla-e-nā-sāz pe ronā aayā
dil-e-nādāñ kī tag-o-tāz pe ronā aayā
us kī pursish pe jo dekhā mutabassim mujh ko
rāz-dāñ ko mire andāz pe ronā aayā
aaj sayyād ko bhī apne giraftāroñ kī
jaane kyuuñ koshish-e-parvāz pe ronā aayā
aa gayā sāmne anjām taḌap uTThā dil
apne afsāne ke āġhāz pe ronā aayā
munhasir ashk kī do buuñd pe thā jis kā bharam
mujh ko ai 'qādrī' us raaz pe ronā aayā