Akbar Hyderabadi

ata hui kise sanad nazar nazar ki baat hai

Akbar Hyderabadi

1925
atā huī kise sanad nazar nazar kī baat hai
huā hai kaun nām-zad nazar nazar kī baat hai
gul o sitāra o qamar sabhī hasīn haiñ magar
hai kaun in meñ mustanad nazar nazar kī baat hai
izāfī e'tibār hai ta.ayyun-e-maqām bhī
hai past bhī buland-qad nazar nazar kī baat hai
bure bhale meñ farq hai ye jānte haiñ sab magar
hai kaun nek kaun bad nazar nazar kī baat hai
zamīñ agarche bistar-e-gul-o-saman bhī hai magar
kisī ko hai yahī lahad nazar nazar kī baat hai
koī chale tamām umr koī sirf do qadam
kahāñ hai manziloñ kī had nazar nazar kī baat hai
Top Urdushayar.com