shoḳh-o-gustāḳh jab andāz-e-sabā hotā hai
tab kahīñ jā ke hasīñ rañg-e-qabā hotā hai
rañg bharne kī haiñ bāteñ sabhī afsāne meñ
ishq meñ kaun bhalā kis se judā hotā hai
jab dahakte hue hoñToñ kā tasavvur ubhre
dil meñ soyā huā har zaḳhm harā hotā hai
us se kyā kahiye sar-e-rāh koī baat kabhī
gar maiñ mil jā.ūñ mujhe DhūñD rahā hotā hai
ilm vaalo ye zarā paḌh ke batāo mujh ko
kyā ruḳh-e-gul pe ye shabnam se likhā hotā hai
phir ḳhatā pūchh lī tum ne to sazā se pahle
aisī bātoñ se hī 'ḳhālid' vo ḳhafā hotā hai